Dharmik ugravad kyo ??
Aakhir kyo har mudde ko pradarshan ko aakhiri main dharmik kyo bana diya jata hai? K uch aasamajik tatvon ki vajah se pura samaj doshi ban jata hai. Isliye kyoki ye samaj ki jimmedari hoti hai ki kuch logon ke bargalane main na aate huye uper wale ki di hui buddhi ka upyog karen aur sochen , ki aakhir kyo har ladai, har jayaj pradarshan, har mudde ko dharmik sanche main dal kar gomrah kiya jata hai. Ye sab aasal muddon se dhyan bhatkane ka aur jo log sath main rahte hai, sath main khate hai, padhaai karte hai unke beech foot dalne ka sabae achuk tarika hai. Dharm chahe vo koi bhi samudaay ka ho vo manavta ki raksha aur seva ke bare main bata hai pr kuch kunthit log isse tod-marodh kar pesh karke apni rajneetik roti sekten hai aur jo agyani janta jo apne dharm ko kabhi khud samajhne ki koshish bhi nahi ki vo inhi jhoothi baton se bhramit ho kar apne hi logon per, bhaiyon per hamla karte hai. Aakhir pooja paddhati badalne se uperwala toh nahi badal jata koi God kahta hai, koi ...